Born: 1862, Khairabad, Sitapur
Died: 1927, Gwalior

Iftikhar Hussain, popularly renowned by his nom de plume Muztar Khairabadi, was AN Indian Urdu author.


Muztar Khairabadi Books List:
NA

Muztar Khairabadi Poetry

muztar khairabadi urdu ghazal na kisi ke aankh ka noor hoon

Muztar Khairabadi Urdu Ghazal

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar hun
Kisi Kaam Men Jo Na Aa Sake Main Vo Ek "Musht E Ghubaar" hun

Main Nahin hun "Naghma E Jaan Fizaa" Koi Mujh Ko Sun Ke Kare Ga Kyaa
Main Bare Birog Ki hun Sadaa Main Bare Dukhi Ki Pukaar hun

Meraa Bakht Mujh Se Bichhad Gayaa Meraa "Rang Roop" Bigad Gayaa
Jo Khizaan Men Baagh Ujar Gayaa Main Usi Ki "Fasl E Bahaar" hun

Pa E Faatiha Koi Aaye Kyon Koi Chaar Phool Chadhaaye Kyon
Koyi Shama Laa Ke Jalaaye Kyon Ki Main "Be Kasi" Ka Mazaar hun

Na Main Muztar Unka Habeeb hun Na Main Muztar unka Raqeeb hun
Jo Bigad Gayaa Vo Naseeb hun Jo Ujad Gayaa Vo Dayaar hun

3 Years 9 Months
by Muztar Khairabadi
muztar khairabadi urdu ghazal

Muztar khairabadi Urdu Poetry

Muztar Khairabadi Ghazal in urdu
Muztar Khairabadi Poetry in urdu

Jab Gulistan me baharon ke qadam aatey hai
Yaad Bhoole huye yyaron ke karam aatey hain

3 Years 9 Months
by Muztar Khairabadi